Wastay Hazrat Murad e naik naam     Ishq apna day mujhe rab al-inaam     Apni ulfat se aata kar soaz o saaz     Apne arfaan ke sikha raaz o niaz      Fazal e Rehman fazl tera har ghari darkaar hai     Fazal e Rehman fazl tera ho to bera paar hai

 

 

Hazrat Muhammad Murad Ali Khan Rahmatullah Alayh

 

Hazrat Mehmood Injir Faghnavi

 

Rahmatullah Alayh

 

Aap ki wiladat shehar Bukhara se no mil ke faasla par 18 Shawaal 628 Hijri Anjir Faghna nami qasba mein hui. Aap ka shumaar Hazrat Muhammad Arif  Riogri  Rahmatullah Alayh ke azam khulfa mein hota hai. Isi binaa parHazratMohammad Arif Riogri  Rahmatullah Alayh i ke wisaal par aap ko un ka janasheen muqarrar kya gaya. Aap ne bhi deen e mateen ki misali eshaat ki soorat mein niabat ka haq ada kya .

 

 

 

 

 

 

 

 

 

 

 

 

Mashaiykh Naqshband  mein se aap ne bar banaye maslehat zamana zikar biljahar  yani buland aawaz se zikar karna jo kay tareeqa Naqshband mein murawej nahi hai, shuru kya. Jisay na munasib khayaal karte hue is waqt ke azeem Muhaddas aur fiqiya Hazrat Shams ul Aima Halwani  Rahmatullah Alayh ne Hazrat Hafiz al Deen Muhaddas Rahmatullah Alayh ki qayadat mein ulama karaam ka aik wafad Hazrat Mehmood Injir Faghnavi  Rahmatullah Alayh ki khidmat mein bheja aur unhon ne zikar shuru karanay ki wajah daryaft ki. To aap Rahmatullah Alayh  ne farmaya ”takeh  soya howa bedaar ho aur ghaflat se hooshiyar ho, raah raast par aajay, shariat o tareqat par istiqamat kare aur taoba o rujoo eli Allah ki raghbat kare “.Hazrat Molana Hafiz al Deen Muhaddas Rahmatullah Alayh  ne arz kya Huzoor Rahmatullah Alayh  aap ki niyat durust hai lekin is ke liye aap koi had muqarrar  farma deey taakay haqeeqat majaz se aur ashna begana se mumtaz hojaye. Is par Hazrat  Mehmood Injir Faghnavi  Rahmatullah Alayh ne irshad farmaya ”zikr e jahr is shakhs ke liye jaiz hai jis ki zabaan jhoot o gheebat se pak ho, jis ka halaq haraam o shuba se aur dil raya waswasa se yani logon ke dikhavay aur sunanay se aur is ka dimagh ghair Allah ki taraf  mutwajjah honay se pak ho“ .

Aap ne 17 Rabiey al-awwal 717 Hjri ko is daar faani se rukhsat hue. Anaa lillah wana ilaihi rajiun. Aap ka mazaar pur anwaar Bukhara mein hai .